In Roman urdu: Hazarah Anas Radiallahu taala anh se riwayat hai ke Aek shaks ne RASOOLALLAH alaihissalam se poocha ke Qayamat kab Aayegi? Aap alaihissalam ne farmaya , tune uske liye kya samaan muhiyya kiya hai? Usne kaha kuchbhi nahin albataa main ALLAH TABARAK VA TAALA AUR RASOOLALLAH ALAIHISSALM se MOHABBAT rakhtahun. Aap alaihissalm ne farmaya bas TU QAYAMAT KE DIN UNHI KE SAATH HOGA JIN SE MOHABBAT RAKHTA HAI. Hazarath Anas radiallahu taala anh ka bayan hai ke Hum kisi baat se itna khuhsh nahin huye jis qadar Rasoolullah alaihissalam ke is Farmaan se khush huye ke "JISKO TU MAHBOOB RAKHTA HAI UNHIN KE SAATH HOGA". Hazarath Anas radiallahu taala anh kehte hain ke main to Rasoolallah alaihissalam , Hazarath Abubakr aur Hazarat Umar radiallahu taala anhum ajmaeen ko dost rakhtahun. Mujhe ummed hai ke is mohabbat ki wajah se main unke saath hounga agarche main ne unke jaise amal nahin kiye hain. (Bukharisahih:3688, Muslim:6715, Tirmidi:2385, majmua al oust:13189)
In English: Narrated Anas radiallahu taala anh : A man asked the Prophet alaihissalam about the Hour (i.e. Day of Judgment) saying, "When will the Hour be?" The Prophet alaihissalam said, "What have you prepared for it?" The man said, "Nothing, except that I love Allah and His Apostle." The Prophet alaihissalam said, "You will be with those whom you love." We had never been so glad as we were on hearing that saying of the Prophet (i.e., "You will be with those whom you love.") Therefore, I love the Prophet, Abu Bakr and 'Umar, and I hope that I will be with them because of my love for them though my deeds are not similar to theirs. (Bukharisahih:3688, Muslim:6715, Tirmidi:2385, majmua al oust:13189)
Alif allah chambe di booti, murshad man vich laai
hu.
Nafi asbaat da paani mileyo, har ragge har jaai hu.
Andar buti mushk machaiya, jaan phulaan te ayi hu.
Jeeve murshad kaamil bahu, jaen eh booti laayi hu
Nafi asbaat da paani mileyo, har ragge har jaai hu.
Andar buti mushk machaiya, jaan phulaan te ayi hu.
Jeeve murshad kaamil bahu, jaen eh booti laayi hu
Imaan salaamat har koi mange, ishk
salamat koi hu.
Mangan imaan, sharmaavan ishkon, dil nu gairat hoi hu.
Jis manzal nu ishk pahunchaave imaan khabar na koi hu,
Ishk salaamat rakhin bahu, diyaan imaan dharoi hu.
Mangan imaan, sharmaavan ishkon, dil nu gairat hoi hu.
Jis manzal nu ishk pahunchaave imaan khabar na koi hu,
Ishk salaamat rakhin bahu, diyaan imaan dharoi hu.
1 comment:
Allah hamein peer ki mohabbat me hamesha rakhein
Post a Comment